50 Hazar sal mein najar aata hai Aisa dhumketu agale mahine Durbin se dekh sakenge adbhut ko Gkholiya ghatna

Khagolvida ne ek nya dhumketo Khoja hai jo agle mahine nangi aakho se dekh ja sakega. Esi khgoliya ghatna 50 Hazar saal me ek baar hi hoti hai khagolvida ke Anusar aane wale hapto me yah dhumketo earth aur Surya ko par kar jayega.




Pichle saal March me dhumketo ko pahli baar Jupiter ke karib se gujarte dekha gya tha. Zwicky shnik ke baad dhumketo ka naam c/2022 E3 (ZTF) rkha gya hai. Khgolvido ke anusar hamre sour mandal se yatra karne ke baad yah 12 janvari ko Surya ke sabse karib aa jayega aur 1 February ko earth ke sabse karib se gujarega.


Is doran log ise achi Durbin se dekh sakega khgolvido ne kaha hai ki dhumketo ko nangan aakho se dekhna aasan hona chahiye barshte shahr ki roshni ya chandrma se aakash aspsht n ho.


California Institute of Technology me bhotij ke ek professor Thomas Prince jo jviki translate facility me kaam karte hai n AFP ko btaya ki dhumketo earth ke sabse karib hone par sabse chamkila hoga 


Paris Observatory ke ek khgolshastri nikols bivar ne kaha ki dhumketo barf aur dhul se bana hai aur ek hare rang ki chamak ka utsjan karta hai jiska Vyas lagbhag ek kilometer tha 


Bivar ne kaha yah dhumketo NEOWISE se bahut chota hoga jise pichhli baar March 2020 me bina teliskop ki sahayta ke nangan aakho se earth se gujarte huye dekha gya tha karb tha Lekin navintam dhumketo bahut  bda nhi hai 


Bivar ne kaha ki 1 January ke aaspas ek purnima dhumketo ke drshy ko avrudh kar sakti hai Lekin uttari dhuru par unhone sujhav diya ki janvari ke antim saptah me jab dhumketo ursar mainar aur Ursa megar ke naksharo ke bich se guzarega unhone kaha ki 21_22 January ke saptahant me amavasya stargadgets ke liye ek achha avsar prdan karegi. 


Unhone kaha ki dhumketu ko Aakash mein dekhne ka agla mauka 10 February Ko hoga jab yah Mangal ke kareeb se gujrega

Comments